Friday, January 11, 2013

Ibaadat



 Har Dua gar kabul ho, to duniya ka kya hasar hoga,

Umar gujregi dua me, na koi insaan kamyab hoga…

Khuda to rasta dikhata h, rah pe insaan ko hi chalna hoga,

Manzile hum chunte h, safar bhi hume tay krna hoga…

               -Rocky

Tuesday, January 8, 2013

Yahi to Jivan hai...

 Zindgi khuda ka diya tahufa h, na ki koi saja h,
Wqat k sath rang badlti h, ye na koi khilona h,
Bade jatno se nek kam krne ko , zindgi milti h Insaano ko,
Na kar gam iske badalne ka, tujhe to dhundna bas maksad h ,
Jaha  raste ruk jate h, vhi to naye raste banaye jaate,
Gar h kuhara Ghana, thoda chal do kadam, saamne sunhara kal h,
Raaste lambe hi shi, magar tum bhi pahuch hi jaoge manzil tak,
Ye raste har ur se manzil ko jaate h,
Magar maza manil k paane ka nhi h “Raj”,
Gar lena h aanand jivan ka, to kar le is rasto se pyar,
Ho jaye har lamha shandar, Yahi to h is jivan ka saar… J