Friday, July 30, 2010

Ye PAGAL kyu h…

Nhi malum ki ye kya h…Naahi khabar ki ye kyu h…
Khabar is bat ki bhi nhi humko, ki TU kyu h…


Ye “kyu h” ki list bahut lambi h, par samjh nhi ye kyu h…
Na khabar humko iski, ki hum is jahaan me kyu h…


Guzari tanha raato ka kuch hisab nhi humko,
Bas soch me dube rhe, ki hme rah-guzzar ki jarurat kyu h….


Aaj fir dost ne sawal kiya hmse, ki meri jarurat kyu h…
Vo jarurat nhi, zindgi h meri,magr nhi samjh ki essa kyu h…


Mila khuda to puch baithe unse, ki unki hme aadat kyu h…
Vo muskura ke bola,
Duniya me khushi haansil h, magar uski chabi sirf vo h…


Wqat gujar na jaaye, pakar le baanhe uski,
Vrna Koi ye na puche humse, Ki ye PAGAL kyu h…

 Note: -This poem was written in late night when I was having lots of word to say...But I was not able to tell, So I tried to write my felling in this way.....
written on - 30july2010 (1:30am)

Copyright@Rocky2010



Fark Parta Nahi…

Na jaane konse wqat me vo hume mil gye,

Aleke rasto ki vo muqamal manjil ho gye,
Mil ke unse yu rasto me, kaante bhi mere ful ho gye…

---

Tera aana meri kismat thi shayad,
Vnra to bahare bhi patjhad thi meri…

Kabhi sochata hun akele kya thi zindgi,
Paya tujhe to jaana kya hoti h zindgi…

Maine ab jaana kya hota h tanaha hona,
Dur ho kar bhi mere dil me sang rahna…

Aaj fir tere khalayo me dubaa hun,
Gungunata hua fir se un hansi yaado ke sang…

Koi kuch bhi khe humse, tere baare me..
Meri chhat ko ab kuch fark parta nhi…

Copyright@Rocky2010

Tuesday, July 20, 2010

Ek Bachpan Ka Zamana Tha...



Ek Bachpan Ka Zamana Hota Tha,
Khushion Ka Khazana Hota Tha.

Chahat Chaand Ko Paane Ki,
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha.

Rone Ki Wajha Na Hoti Thi,
Hasne Ka Bahana Hota Tha.

Khaber Na Thai Kuch Subho Ki,
Na Shamo Ka Thikana Hota Tha.

Daadi Ki Kahani Hoti Thi,
Pariyon Ka Fasana Hota Tha.

Pedo Ki Shakhe Chutey They,
Mitti Ka Khilona Hota Tha.

Gam Ki Zuban Na Hoti Thi,
Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha.

Barish Mein Kagaz Ki Kashti,
Har Mousam Suhana Hota Tha.

Wo Khel Wo Sathi Hotey They,
Bas Har Rishta Nibhana Hota Tha

Friday, July 16, 2010

Apni baahon ka sahara day do...


Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do...

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do...

 Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do...

 Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do...

 Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do...

Socha Nahi Acha Bura...


Socha Nhi Acha Bura, Dekha Suna Kuch Bhi Nhi..
Manga Khuda Se Her Wqat, Tere Siwa Kuch B Nhi..
Dekha Tujhe Chaha Tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe...


Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata Kuch Bhi Nhi..
Jis Per Hamari Aankh Ne, Moti Bichaye Raat Bhar..
Bheja Wohi Kagaz Usey,Hum Ne Likha Kuch Bhi Nhi...


Socha Nahi Acha Bura,Dekha Suna Kuch Bhi Nhi..
Manga Khuda Se Her Waqt, Tere Siwa Kuch Bhi Nhi..
Dekha Tujhe Chaha Tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe...

Thursday, July 15, 2010

Pyar Bachaye Rakhna...

Mahfil Ko Yu Sajaye Rkhna,

Meri Chahat Me Nazare Bichaaye Rakhna...


Yu Na Mil Paaye To Kya Dilbar,

Naye Asaq Ki Aas Lagaye Rakhna...


Teri Duniya Ho Aabad Ye Tamana H Dil Ki,

Bas Tum Jine Ki Zustzu Banaye Rakhna...


Honge Hum Hi Us Asaqk Me Bhi,

Bas Tum Mera Pyar Bachaye Rakhna...